Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

chaman chaman jo ye subh-e-bahaar ki zau hai

Shamim Karhani

chaman chaman jo ye subh-e-bahaar ki zau hai

Shamim Karhani

MORE BYShamim Karhani

    chaman chaman jo ye sub.h-e-bahār zau hai

    tire tabassum-e-rañgīñ ek partav hai

    ḳhizāñ raat ke qātil kahāñ ga.e dekheñ

    ki jo lahū hai charāġh-e-bahār lau hai

    chale na saath zamāna to is ko yuuñ kahiye

    Thahar gayā hai musāfir ki jāda-e-nau hai

    bujhā hai dil to na samjho ki bujh gayā ġham bhī

    ki ab charāġh ke badle charāġh lau hai

    mirī zamīñ pe jabīn-e-araq-araq ke sivā

    na qatra-e-mai-e-rañgīñ na dāna-e-jau hai

    savāl vaqt parchhā.iyoñ se ham bhī kareñ

    hamāre dil meñ bhī halkā ek partav hai

    kaTe jo tīrgi-e-shām-e-ġham to kaise 'shamīm'

    ḳhafā ḳhafā kisī ke ḳhayāl zau hai

    chaman chaman jo ye subh-e-bahaar ki zau hai

    tere tabassum-e-rangin ka ek partaw hai

    KHizan ki raat ke qatil kahan gae dekhen

    ki jo lahu hai charagh-e-bahaar ki lau hai

    chale na sath zamana to is ko yun kahiye

    Thahar gaya hai musafir ki jada-e-nau hai

    bujha hai dil to na samjho ki bujh gaya gham bhi

    ki ab charagh ke badle charagh ki lau hai

    meri zamin pe jabin-e-araq-araq ke siwa

    na qatra-e-mai-e-rangin na dana-e-jau hai

    sawal waqt ki parchhaiyon se hum bhi karen

    hamare dil mein bhi halka sa ek partaw hai

    kaTe jo tirgi-e-sham-e-gham to kaise 'shamim'

    KHafa KHafa si kisi ke KHayal ki zau hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now