chehre ko bahaal kar raha hun
chehre ko bahāl kar rahā huuñ
duniyā kā ḳhayāl kar rahā huuñ
ik kār-e-muhāl kar rahā huuñ
zinda huuñ kamāl kar rahā huuñ
vo ġham jo abhī mile nahīñ haiñ
maiñ un kā malāl kar rahā huuñ
ash.ār bhī dāvat-e-amal haiñ
taqlīd-e-bilāl kar rahā huuñ
tasvīr ko ā.īna banā kar
tashrīh-e-jamāl kar rahā huuñ
chehre pe javāb chāhtā huuñ
āñkhoñ se savāl kar rahā huuñ
kuchh bhī nahīñ dastaras meñ 'sarshār'
kyuuñ fikr-e-ma.āl kar rahā huuñ
chehre ko bahaal kar raha hun
duniya ka KHayal kar raha hun
ek kar-e-muhaal kar raha hun
zinda hun kamal kar raha hun
wo gham jo abhi mile nahin hain
main un ka malal kar raha hun
ashaar bhi dawat-e-amal hain
taqlid-e-bilal kar raha hun
taswir ko aaina bana kar
tashrih-e-jamal kar raha hun
chehre pe jawab chahta hun
aankhon se sawal kar raha hun
kuchh bhi nahin dastaras mein 'sarshaar'
kyun fikr-e-maal kar raha hun
- Book : Asaleeb (Pg. 187)
- Author : anbaren haseeb anbar,saher Ansari
- Publication : Asaleeb publication (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.