chehre pe mere zulf ko phailao kisi din
chehre pe mire zulf ko phailāo kisī din
kyā roz garajte ho baras jaao kisī din
rāzoñ kī tarah utro mire dil meñ kisī shab
dastak pe mire haath kī khul jaao kisī din
peḌoñ kī tarah husn kī bārish meñ nahā luuñ
bādal kī tarah jhuum ke ghar aao kisī din
ḳhushbū kī tarah guzro mirī dil kī galī se
phūloñ kī tarah mujh pe bikhar jaao kisī din
guzreñ jo mere ghar se to ruk jaa.eñ sitāre
is tarah mirī raat ko chamkāo kisī din
maiñ apnī har ik saañs usī raat ko de duuñ
sar rakh ke mire siine pe so jaao kisī din
chehre pe mere zulf ko phailao kisi din
kya roz garajte ho baras jao kisi din
raazon ki tarah utro mere dil mein kisi shab
dastak pe mere hath ki khul jao kisi din
peDon ki tarah husn ki barish mein naha lun
baadal ki tarah jhum ke ghar aao kisi din
KHushbu ki tarah guzro meri dil ki gali se
phulon ki tarah mujh pe bikhar jao kisi din
guzren jo mere ghar se to ruk jaen sitare
is tarah meri raat ko chamkao kisi din
main apni har ek sans usi raat ko de dun
sar rakh ke mere sine pe so jao kisi din
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.