dām-e-ulfat se chhūTtī hī nahīñ
zindagī tujh ko bhūltī hī nahīñ
kitne tūfāñ uThā.e āñkhoñ ne
naav yādoñ kī Dūbtī hī nahīñ
tujh se milne kī tujh ko paane kī
koī tadbīr sūjhtī hī nahīñ
ek manzil pe ruk ga.ī hai hayāt
ye zamīñ jaise ghūmtī hī nahīñ
log sar phoḌ kar bhī dekh chuke
ġham kī dīvār TūTtī hī nahīñ
dam-e-ulfat se chhuTti hi nahin
zindagi tujh ko bhulti hi nahin
kitne tufan uThae aankhon ne
naw yaadon ki Dubti hi nahin
tujh se milne ki tujh ko pane ki
koi tadbir sujhti hi nahin
ek manzil pe ruk gai hai hayat
ye zamin jaise ghumti hi nahin
log sar phoD kar bhi dekh chuke
gham ki diwar TuTti hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.