danaiyan aTak gain lafzon ke jal mein
dānā.iyāñ aTak ga.iiñ lafzoñ ke jaal meñ
itne javāb gum haiñ mire ik savāl meñ
dariyā bas ik qadam kabhī sāhil kī samt aa
dekhūñgā zor kitnā hai tere ubaal meñ
kī ehtiyāt laakh magar haal ye huā
aanā thā jin ko aa hī ga.e terī chaal meñ
jī chāhtā hai tark-e-mohabbat ko baar baar
aatā hai ek aisā bhī lamha visāl meñ
ab kyā usūl-e-dasht-navardī kī baat ho
uljhe paḌe haiñ paañv shikārī ke jaal meñ
danaiyan aTak gain lafzon ke jal mein
itne jawab gum hain mere ek sawal mein
dariya bas ek qadam kabhi sahil ki samt aa
dekhunga zor kitna hai tere ubaal mein
ki ehtiyat lakh magar haal ye hua
aana tha jin ko aa hi gae teri chaal mein
ji chahta hai tark-e-mohabbat ko bar bar
aata hai ek aisa bhi lamha visal mein
ab kya usul-e-dasht-nawardi ki baat ho
uljhe paDe hain panw shikari ke jal mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.