dard ab dil ki dawa ho jaise
dard ab dil kī davā ho jaise
zindagī ek sazā ho jaise
husn yuuñ ishq se nārāz hai ab
phuul ḳhushbū se ḳhafā ho jaise
ab kuchh is tarah se ḳhāmosh haiñ vo
pahle kuchh bhī na kahā ho jaise
yuuñ ġham-e-dil kī zabāñ mahkī hai
nik.hat-e-zulf-e-dutā ho jaise
kitnā sunsān hai rasta dil kā
qāfila koī luTā ho jaise
dard ab dil ki dawa ho jaise
zindagi ek saza ho jaise
husn yun ishq se naraaz hai ab
phul KHushbu se KHafa ho jaise
ab kuchh is tarah se KHamosh hain wo
pahle kuchh bhi na kaha ho jaise
yun gham-e-dil ki zaban mahki hai
nikhat-e-zulf-e-duta ho jaise
kitna sunsan hai rasta dil ka
qafila koi luTa ho jaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.