dard aisa diya ehsas-e-wafa ne hum ko
dard aisā diyā ehsās-e-vafā ne ham ko
na davā ne hī shifā dī na duā ne ham ko
ye to sahrā kī havā.eñ haiñ gila kyā un kā
ḳhuub jhulsāyā hai gulshan kī sabā ne ham ko
soz-e-āfāq kā ehsās bhī ham ko na huā
itnā behosh kiyā terī adā ne ham ko
duur hotā hī gayā chehra-e-manzil ham se
raah dikhlā.ī hai vo rāh-numā ne ham ko
dekhtī hī rahī ye aql tamāshā-e-junūñ
jab bhī majbūr kiyā ahd-e-vafā ham ko
zulf-e-idrāk chhupātī ruḳh-e-hastī kab tak
āḳhirash thaam liyā dast-e-fazā ne ham ko
Duubī kashtī jo hamārī lab-e-sāhil 'ḳhālid'
nā-ḳhudā ne nahīñ dekhā ki ḳhudā ne ham ko
dard aisa diya ehsas-e-wafa ne hum ko
na dawa ne hi shifa di na dua ne hum ko
ye to sahra ki hawaen hain gila kya un ka
KHub jhulsaya hai gulshan ki saba ne hum ko
soz-e-afaq ka ehsas bhi hum ko na hua
itna behosh kiya teri ada ne hum ko
dur hota hi gaya chehra-e-manzil hum se
rah dikhlai hai wo rah-numa ne hum ko
dekhti hi rahi ye aql tamasha-e-junun
jab bhi majbur kiya ahd-e-wafa hum ko
zulf-e-idrak chhupati ruKH-e-hasti kab tak
aaKHirash tham liya dast-e-faza ne hum ko
Dubi kashti jo hamari lab-e-sahil 'KHalid'
na-KHuda ne nahin dekha ki KHuda ne hum ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.