dasht-e-gham se guzar raha hun main
dasht-e-ġham se guzar rahā huuñ maiñ
tīrgī meñ nikhar rahā huuñ maiñ
vaqt ne qadr kī nahīñ varna
vaqt kā ham-safar rahā huuñ maiñ
bikhrā bikhrā huuñ ek muddat se
rafta rafta sañvar rahā huuñ maiñ
ḳhud-numā.ī kī har bulandī se
ziina ziina utar rahā huuñ maiñ
shukr terā ki ai junūñ-e-safar
ḳhud se bhī be-ḳhabar rahā huuñ maiñ
naam merā 'kamāl' hai lekin
umr bhar be-asar rahā huuñ maiñ
dasht-e-gham se guzar raha hun main
tirgi mein nikhar raha hun main
waqt ne qadr ki nahin warna
waqt ka ham-safar raha hun main
bikhra bikhra hun ek muddat se
rafta rafta sanwar raha hun main
KHud-numai ki har bulandi se
zina zina utar raha hun main
shukr tera ki ai junun-e-safar
KHud se bhi be-KHabar raha hun main
nam mera 'kamal' hai lekin
umr bhar be-asar raha hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.