dasht-e-wahshat ne phir pukara hai
dasht-e-vahshat ne phir pukārā hai
zindagī aaj tū gavārā hai
Dūbne se bachā ke māñjhī ne
dard ke ghaaT lā utārā hai
laakh tū mujh se hai magar mujh meñ
kab tirī ham-sarī kā yaarā hai
baat apnī anā kī hai varna
yuuñ to do haath par kinārā hai
dil kī gunjān rahguzāroñ meñ
karb-e-tanhā.ī kā sahārā hai
log marte haiñ band āñkhoñ se
ham ko is āgahī ne maarā hai
jān-e-'shahzād' zindagī kā safar
ham ne be-kārvāñ guzārā hai
dasht-e-wahshat ne phir pukara hai
zindagi aaj tu gawara hai
Dubne se bacha ke manjhi ne
dard ke ghaT la utara hai
lakh tu mujh se hai magar mujh mein
kab teri ham-sari ka yara hai
baat apni ana ki hai warna
yun to do hath par kinara hai
dil ki gunjaan rahguzaron mein
karb-e-tanhai ka sahaara hai
log marte hain band aankhon se
hum ko is aagahi ne mara hai
jaan-e-'shahzad' zindagi ka safar
hum ne be-karwan guzara hai
- Book : Aaina Jhuta hai (Pg. 86)
- Author : Farhat Shahzad
- Publication : Al-hamd Publication (1997)
- Edition : 1997
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.