dasht mein hai ek naqsh-e-rahguzar sab se alag
dasht meñ hai ek naqsh-e-rahguzar sab se alag
ham meñ hai shāyad koī mahv-e-safar sab se alag
chalte chalte vo bhī āḳhir bhiiḌ meñ gum ho gayā
vo jo har sūrat meñ aatā thā nazar sab se alag
sab kī apnī manzileñ thiiñ sab ke apne rāste
ek āvāra phire ham dar-ba-dar sab se alag
hai rah-o-rasm-e-zamāna parda-e-be-gāngī
darmiyāñ rahtā huuñ maiñ sab ke magar sab se alag
de ke aadat rañj kī hotā hai mujh par mehrbāñ
us sitamgar ne ye sīkhā hai hunar sab se alag
shahr-e-kasrat meñ ajab ik rauzan-e-ḳhalvat khulā
us ne jo dekhā mujhe ik lamha bhar sab se alag
har koī shāmil huā 'sarmad' julūs-e-ām meñ
muñh uThā.e chal diyā hai tū kidhar sab se alag
dasht mein hai ek naqsh-e-rahguzar sab se alag
hum mein hai shayad koi mahw-e-safar sab se alag
chalte chalte wo bhi aaKHir bhiD mein gum ho gaya
wo jo har surat mein aata tha nazar sab se alag
sab ki apni manzilen thin sab ke apne raste
ek aawara phire hum dar-ba-dar sab se alag
hai rah-o-rasm-e-zamana parda-e-be-gangi
darmiyan rahta hun main sab ke magar sab se alag
de ke aadat ranj ki hota hai mujh par mehrban
us sitamgar ne ye sikha hai hunar sab se alag
shahr-e-kasrat mein ajab ek rauzan-e-KHalwat khula
us ne jo dekha mujhe ek lamha bhar sab se alag
har koi shamil hua 'sarmad' julus-e-am mein
munh uThae chal diya hai tu kidhar sab se alag
- Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 22.06.2015)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.