dasht mein misl sada ke the
dasht meñ misl sadā ke the
kyā kyā naqsh vafā ke the
toḌ ga.e jo ka.aba-e-dil
bande ḳhaas ḳhudā ke the
saal mahīne din aur raat
jhoñke chaar havā ke the
mujh be-ghar ke paas rahe
jitne sail balā ke the
maiñ bhī 'tasavvur' un meñ thā
jin ke tiir ḳhatā ke the
dasht mein misl sada ke the
kya kya naqsh wafa ke the
toD gae jo kaba-e-dil
bande KHas KHuda ke the
sal mahine din aur raat
jhonke chaar hawa ke the
mujh be-ghar ke pas rahe
jitne sail bala ke the
main bhi 'tasawwur' un mein tha
jin ke tir KHata ke the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.