de aaya apni jaan bhi darbar-e-ishq mein
de aayā apnī jaan bhī darbār-e-ishq meñ
phir bhī na ban sakā ḳhabar aḳhbār-e-ishq meñ
jab mil na paayā us se mujhe izn-e-guftugū
maiñ ik kitāb ban gayā iz.hār-e-ishq meñ
qīmat lagā sakā na ḳharīdār phir bhī maiñ
jins-e-vafā banā rahā bāzār-e-ishq meñ
shāyad yahī thī us kī mohabbat kī intihā
mujh ko bhī us ne chun diyā dīvār-e-ishq meñ
tah tak maiñ khoj aayā huā ġharq baar baar
aayā na phir bhī tairnā mañjhdār-e-ishq meñ
de aaya apni jaan bhi darbar-e-ishq mein
phir bhi na ban saka KHabar aKHbar-e-ishq mein
jab mil na paya us se mujhe izn-e-guftugu
main ek kitab ban gaya izhaar-e-ishq mein
qimat laga saka na KHaridar phir bhi main
jins-e-wafa bana raha bazar-e-ishq mein
shayad yahi thi us ki mohabbat ki intiha
mujh ko bhi us ne chun diya diwar-e-ishq mein
tah tak main khoj aaya hua gharq bar bar
aaya na phir bhi tairna manjhdar-e-ishq mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.