Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dekh qindil ruKH-e-yar ki jaanib mat dekh

Azhar Abbas

dekh qindil ruKH-e-yar ki jaanib mat dekh

Azhar Abbas

MORE BYAzhar Abbas

    dekh qindīl ruḳh-e-yār jānib mat dekh

    tez talvār hai talvār jānib mat dekh

    bol kitnī hai tire sāmne qīmat merī

    chhoḌ bāzār ko bāzār jānib mat dekh

    dekhnā hai to mujhe dekh ki maiñ kaisā huuñ

    mere ujḌe hue ghar-bār jānib mat dekh

    aur baḌh jā.egī tanhā.ī tujhe kyā ma.alūm

    aisī tanhā.ī meñ dīvār jānib mat dekh

    aage niklā hai to phir aage nikaltā chalā

    pīchhe haTte hue sālār jānib mat dekh

    mire sāmne aayā hai to phir dekh mujhe

    merī TuuTī huī talvār jānib mat dekh

    kahānī ke badalte hue manzar ko samajh

    ḳhuun rote hue kirdār jānib mat dekh

    terā dil na kahīñ kaaT ke rakh de 'az.har'

    aañkh se girtī huī dhaar jānib mat dekh

    dekh qindil ruKH-e-yar ki jaanib mat dekh

    tez talwar hai talwar ki jaanib mat dekh

    bol kitni hai tere samne qimat meri

    chhoD bazar ko bazar ki jaanib mat dekh

    dekhna hai to mujhe dekh ki main kaisa hun

    mere ujDe hue ghar-bar ki jaanib mat dekh

    aur baDh jaegi tanhai tujhe kya malum

    aisi tanhai mein diwar ki jaanib mat dekh

    aage nikla hai to phir aage nikalta chala ja

    pichhe haTte hue salar ki jaanib mat dekh

    tu mere samne aaya hai to phir dekh mujhe

    meri TuTi hui talwar ki jaanib mat dekh

    tu kahani ke badalte hue manzar ko samajh

    KHun rote hue kirdar ki jaanib mat dekh

    tera dil hi na kahin kaT ke rakh de 'azhar'

    aankh se girti hui dhaar ki jaanib mat dekh

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now