dekhne mein lagti thi bhigti simaTti raat
dekhne meñ lagtī thī bhīgtī simaTtī raat
phailtī ga.ī lekin buuñd buuñd baTtī raat
titliyāñ pakaḌne kā aa gayā zamāna yaad
tez tez baḌhte ham duur duur haTtī raat
kyuuñ pahāḌ jaisā din ḳhaak meñ milā Daalā
pahle soch lete to gard meñ na aTtī raat
pyaar se kiyā ruḳhsat ek ik sitāre ko
chhā rahī phir āñkhoñ meñ āsmāñ se chhaTtī raat
ik sadā kī sūrat ham is havā meñ zinda haiñ
ham jo raushnī hote ham pe bhī jhapaTtī raat
dekhne mein lagti thi bhigti simaTti raat
phailti gai lekin bund bund baTti raat
titliyan pakaDne ka aa gaya zamana yaad
tez tez baDhte hum dur dur haTti raat
kyun pahaD jaisa din KHak mein mila Dala
pahle soch lete to gard mein na aTti raat
pyar se kiya ruKHsat ek ek sitare ko
chha rahi phir aankhon mein aasman se chhaTti raat
ek sada ki surat hum is hawa mein zinda hain
hum jo raushni hote hum pe bhi jhapaTti raat
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 378)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23)
- Edition : Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.