deta hai mujhko charKH-e-kuhan bar bar dagh
detā hai mujh ko charḳh-e-kuhan baar baar daaġh
uf ek merā siina hai us par hazār daaġh
dete haiñ mere siine meñ kyā hī bahār daaġh
khaa.e na un ko dekh ke kyuuñ lāla-zār daaġh
laala karegā dil kī mire kyā barābarī
us par hai ek daaġh yahāñ be-shumār daaġh
duniyā ke saare sadme haiñ kam hijr-e-yār se
de mudda.ī ko bhī na ye parvardigār daaġh
rakhtā hai ishq-e-lāla-ruḳhāñ dil meñ vo nihāñ
siine pe māhtāb ke hai āshkār daaġh
zulmat se dī najāt dil-e-dāġhdār ne
raushan misāl-e-sham.a hai zer-e-mazār daaġh
har dam na kyuuñ lagā.e rakheñ siine se use
ik māh-rū ke ishq kī hai yādgār daaġh
qātil mire lahū ne bhī kyā gul khilā.e haiñ
dāman pe tere dete haiñ kyā hī bahār daaġh
jo zulm chāhe rakh dil-e-'ranjūr' par ravā
de tū magar use na judā.ī kā yaar daaġh
deta hai mujh ko charKH-e-kuhan bar bar dagh
uf ek mera sina hai us par hazar dagh
dete hain mere sine mein kya hi bahaar dagh
khae na un ko dekh ke kyun lala-zar dagh
lala karega dil ki mere kya barabari
us par hai ek dagh yahan be-shumar dagh
duniya ke sare sadme hain kam hijr-e-yar se
de muddai ko bhi na ye parwardigar dagh
rakhta hai ishq-e-lala-ruKHan dil mein wo nihan
sine pe mahtab ke hai aashkar dagh
zulmat se di najat dil-e-daghdar ne
raushan misal-e-shama hai zer-e-mazar dagh
har dam na kyun lagae rakhen sine se use
ek mah-ru ke ishq ki hai yaadgar dagh
qatil mere lahu ne bhi kya gul khilae hain
daman pe tere dete hain kya hi bahaar dagh
jo zulm chahe rakh dil-e-'ranjur' par rawa
de tu magar use na judai ka yar dagh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.