dhuan sa koi hawaon mein sarsaraega kuchh
dhuāñ sā koī havāoñ meñ sarsarā.egā kuchh
phir is ke ba.ad tujhe bhī nazar na aa.egā kuchh
maiñ jāntā huuñ kahāñ tak hai dastaras us kī
jo biit jaa.e vahī sab pe āzmā.egā kuchh
fasīl-e-sañg kī mahdūdiyat halākat hai
uḌā de ḳhud ko havā meñ to sansanā.egā kuchh
tū pāniyoñ meñ zarā aise haath paañv na maar
nikalnā duur rahā aur Duub jā.egā kuchh
dhuan sa koi hawaon mein sarsaraega kuchh
phir is ke baad tujhe bhi nazar na aaega kuchh
main jaanta hun kahan tak hai dastaras us ki
jo bit jae wahi sab pe aazmaega kuchh
fasil-e-sang ki mahdudiyat halakat hai
uDa de KHud ko hawa mein to sansanaega kuchh
tu paniyon mein zara aise hath panw na mar
nikalna dur raha aur Dub jaega kuchh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.