dhul hi dhul aDi hai mujh mein
dhuul hī dhuul aḌī hai mujh meñ
sabz ik shāḳh jalī hai mujh meñ
kitnī vīrānī hai mere andar
kis qadar terī kamī hai mujh meñ
duur tak ab to ḳhamoshī hai bas
duur tak ab to yahī hai mujh meñ
maan letī huuñ mukammal ho tum
maan letī huuñ kamī hai mujh meñ
ḳhushk hone hī nahīñ detī aañkh
vo jo sāvan kī jhaḌī hai mujh meñ
dhul hi dhul aDi hai mujh mein
sabz ek shaKH jali hai mujh mein
kitni virani hai mere andar
kis qadar teri kami hai mujh mein
dur tak ab to KHamoshi hai bas
dur tak ab to yahi hai mujh mein
man leti hun mukammal ho tum
man leti hun kami hai mujh mein
KHushk hone hi nahin deti aankh
wo jo sawan ki jhaDi hai mujh mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.