dhup jab Dhal gai to saya nahin
dhuup jab Dhal ga.ī to saaya nahīñ
ye ta.alluq to koī rishta nahīñ
log kis kis tarah se zinda haiñ
hameñ marne kā bhī salīqa nahīñ
sochiye to hazār pahlū haiñ
dekhiye baat itnī saada nahīñ
ḳhvāb bhī is taraf nahīñ aate
is makāñ meñ koī darīcha nahīñ
chalo mar kar kahīñ Thikāne lageñ
ham ki jin kā koī Thikānā nahīñ
manzileñ bhī nahīñ muqaddar meñ
aur palaTnā hameñ gavārā nahīñ
dūsroñ se bhī rabt-zabt rakheñ
zindagī hai koī jazīra nahīñ
kab bhaTak jaa.e 'āftāb' husain
aadmī kā koī bharosa nahīñ
dhup jab Dhal gai to saya nahin
ye talluq to koi rishta nahin
log kis kis tarah se zinda hain
hamein marne ka bhi saliqa nahin
sochiye to hazar pahlu hain
dekhiye baat itni sada nahin
KHwab bhi is taraf nahin aate
is makan mein koi daricha nahin
chalo mar kar kahin Thikane lagen
hum ki jin ka koi Thikana nahin
manzilen bhi nahin muqaddar mein
aur palaTna hamein gawara nahin
dusron se bhi rabt-zabt rakhen
zindagi hai koi jazira nahin
kab bhaTak jae 'aftab' husain
aadmi ka koi bharosa nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.