dhup nikli kabhi baadal se Dhaki rahti hai
dhuup niklī kabhī bādal se Dhakī rahtī hai
raat din apnī hī āñkhoñ meñ jagī rahtī hai
dekhte jā.iye milne kā ye andāz bhī ek
hoñT pe thoḌī muravvat kī hañsī rahtī hai
kyā samundar ko bhī ḳhatra hai ki is meñ koī
kulbulātī huī bechain nadī rahtī hai
ik nazar dekhtī jā.eñgī hamārī āñkheñ
band dil meñ koī khiḌkī bhī khulī rahtī hai
saaf jazboñ ke havāle se to ġham haiñ lekin
ek lamhe kī ḳhushī ek sadī rahtī hai
dekh lete haiñ añdhere meñ bhī rasta apnā
sham' ehsās ke mānind jalī rahtī hai
dhup nikli kabhi baadal se Dhaki rahti hai
raat din apni hi aankhon mein jagi rahti hai
dekhte jaiye milne ka ye andaz bhi ek
honT pe thoDi murawwat ki hansi rahti hai
kya samundar ko bhi KHatra hai ki is mein koi
kulbulati hui bechain nadi rahti hai
ek nazar dekhti jaengi hamari aankhen
band dil mein koi khiDki bhi khuli rahti hai
saf jazbon ke hawale se to gham hain lekin
ek lamhe ki KHushi ek sadi rahti hai
dekh lete hain andhere mein bhi rasta apna
sham' ehsas ke manind jali rahti hai
- Book : Ehsas Ki Hijrat (Pg. 64)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.