dhup se gardish-e-haalat ki ghabra jae
dhuup se gardish-e-hālāt kī ghabrā jaa.e
dil koī phuul nahīñ hai ki jo murjhā jaa.e
haa.e re zabt-e-mohabbat kī ye sābit-qadamī
ham se kāġhaz pe bhī vo naam na likkhā jaa.e
ek patthar kī bhī taqdīr sañvar saktī hai
shart ye hai ki salīqe se tarāshā jaa.e
kis tarah hotī hai tahzīb kī devī uryāñ
shīsh-mahloñ meñ kabhī jhāñk ke dekhā jaa.e
aql kahtī hai ki chal dasht-e-tamannā se pare
dil ko zid hai ki isī dasht meñ bhaTkā jaa.e
dhup se gardish-e-haalat ki ghabra jae
dil koi phul nahin hai ki jo murjha jae
hae re zabt-e-mohabbat ki ye sabit-qadami
hum se kaghaz pe bhi wo nam na likkha jae
ek patthar ki bhi taqdir sanwar sakti hai
shart ye hai ki saliqe se tarasha jae
kis tarah hoti hai tahzib ki dewi uryan
shish-mahlon mein kabhi jhank ke dekha jae
aql kahti hai ki chal dasht-e-tamanna se pare
dil ko zid hai ki isi dasht mein bhaTka jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.