dīda-e-tar meñ kaun rahegā
Dūbte ghar meñ kaun rahegā
sab hī aadhī maut mareñge
raat nagar meñ kaun rahegā
tujh pe jamī haiñ sab kī nazreñ
terī nazar meñ kaun rahegā
jañg kareñge ye to batā do
saath sipar meñ kaun rahegā
zindagī jab ho bā.is-e-vahshat
maut ke Dar meñ kaun rahegā
dida-e-tar mein kaun rahega
Dubte ghar mein kaun rahega
sab hi aadhi maut marenge
raat nagar mein kaun rahega
tujh pe jami hain sab ki nazren
teri nazar mein kaun rahega
jang karenge ye to bata do
sath sipar mein kaun rahega
zindagi jab ho bais-e-wahshat
maut ke Dar mein kaun rahega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.