Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

diwanon ko manzil ka pata yaad nahin hai

Waheed Akhtar

diwanon ko manzil ka pata yaad nahin hai

Waheed Akhtar

MORE BYWaheed Akhtar

    dīvānoñ ko manzil patā yaad nahīñ hai

    jab se tirā naqsh-e-kaf-e-pā yaad nahīñ hai

    afsurdagi-e-ishq ke khulte nahīñ asbāb

    kyā baat bhulā baiThe haiñ kyā yaad nahīñ hai

    ham dil-zadagāñ jiite haiñ yādoñ ke sahāre

    haañ miT ga.e jis par vo adā yaad nahīñ hai

    ghar apnā to bhūlī thī āshuftagī-e-dil

    ḳhud-rafta ko ab dar bhī tirā yaad nahīñ hai

    lete haiñ tirā naam yuuñ jāgte sote

    jaise ki hameñ apnā ḳhudā yaad nahīñ hai

    ye ek ehsān-e-ġham dost hai kyā kam

    be-mehri-e-daurāñ jafā yaad nahīñ hai

    be-barse guzar jaate haiñ umDe hue bādal

    jaise unheñ merā patā yaad nahīñ hai

    is baar 'vahīd' aap āñkheñ nahīñ barsīñ

    kyā jhūmtī zulfoñ ghaTā yaad nahīñ hai

    diwanon ko manzil ka pata yaad nahin hai

    jab se tera naqsh-e-kaf-e-pa yaad nahin hai

    afsurdagi-e-ishq ke khulte nahin asbab

    kya baat bhula baiThe hain kya yaad nahin hai

    hum dil-zadagan jite hain yaadon ke sahaare

    han miT gae jis par wo ada yaad nahin hai

    ghar apna to bhuli hi thi aashuftagi-e-dil

    KHud-rafta ko ab dar bhi tera yaad nahin hai

    lete hain tera nam hi yun jagte sote

    jaise ki hamein apna KHuda yaad nahin hai

    ye ek hi ehsan-e-gham dost hai kya kam

    be-mehri-e-dauran ki jafa yaad nahin hai

    be-barse guzar jate hain umDe hue baadal

    jaise unhen mera hi pata yaad nahin hai

    is bar 'wahid' aap ki aankhen nahin barsin

    kya jhumti zulfon ki ghaTa yaad nahin hai

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    diwanon ko manzil ka pata yaad nahin hai Nomaan Shauque

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now