aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil-bastagi si hai kisi zulf-e-duta ke sath

Momin Khan Momin

dil-bastagi si hai kisi zulf-e-duta ke sath

Momin Khan Momin

MORE BYMomin Khan Momin

    dil-bastagī hai kisī zulf-e-dutā ke saath

    paalā paḌā hai ham ko ḳhudā kis balā ke saath

    enmeshed with braided tresses my heart appears to be

    tell me O Lord I am now faced with what calamity

    kab tak nibhā.iye but-e-nā-āshnā ke saath

    kiije vafā kahāñ talak us bevafā ke saath

    how long should I care for her who does not care for me

    how far should I be faithful when she lacks fidelity

    yād-e-havā-e-yār ne kyā kyā na gul khilā.e

    aa.ī chaman se nik.hat-e-gul jab sabā ke saath

    what poignant passion was inflamed, then by her memories

    when the fragrance of the flower came floating on the breeze

    māñgā kareñge ab se duā hijr-e-yār

    āḳhir to dushmanī hai asar ko duā ke saath

    to be parted from my dearest I will pray now hence

    as after all prayers bear enmity with consequence

    hai kis intizār ki ḳhvāb-e-adam se bhī

    har baar chauñk paḌte haiñ āvāz-e-pā ke saath

    who is it pray, whom I await even in death's embrace

    that startles me each time I hear the sound of any pace

    rab visāl-e-yār meñ kyūñkar ho zindagī

    niklī jaan jaatī hai har har adā ke saath

    O Lord! in meetings with my lover how do I survive

    her grace and charm and loveliness, don't let me stay alive

    allāh re soz-e-ātish-e-ġham bā'd-e-marg bhī

    uThte haiñ merī ḳhaak se sho'le havā ke saath

    how strong does sorrow's fire burn, O Lord, despite my death

    new flames in my ashes ignite, with every zephyr's breath

    sau zindagī nisār karūñ aisī maut par

    yuuñ ro.e zaar zaar ahl-e-azā ke saath

    A hundred lifetimes I'd forsake and such a death receive

    if you sit weeping copiously among the rest who grieve

    har dam araq araq nigah-e-be-hijāb hai

    kis ne nigāh-e-garm se dekhā hayā ke saath

    my eyes, uncovered, are now bathed all the time in sweat

    who has cast a glance so coy yet warm and passionate

    marne ke baa'd bhī vahī āvārgī rahī

    afsos jaañ ga.ī nafas-e-nā-rasā ke saath

    this wanderlust remained the same, even after death

    alas my life too went along with my ill-fated breath

    dast-e-junūñ ne merā garebāñ samajh liyā

    uljhā hai un se shoḳh ke band-e-qabā ke saath

    the hand of my insanity thought it was my cape

    and got entangled by mistake, with sashes of her drape

    aate tere chal diye sab varna yaas

    kaisā hujūm thā dil-e-hasrat-fazā ke saath

    as soon as you arrived the crowds of despair did depart

    else what a throng surrounded the yearnings of my heart

    maiñ kiine se bhī ḳhush huuñ ki sab ye to kahte haiñ

    us fitna-gar ko laag hai is mubtalā ke saath

    I'm happy e'en with cruelty, as all do now agree

    the devastating beauty loves a distressed man like me

    allāh gumrahī but o but-ḳhāna chhoḌ kar

    'momin' chalā hai kā'ba ko ik pārsā ke saath

    O Lord!! momin's lost his way, from idols does he flee

    and towards the mosque proceeds, in pious company

    'momin' vahī ġhazal paḌho shab jis se bazm meñ

    aatī thī lab pe jaan zah-o-habbazā ke saath

    ----

    ----

    dil-bastagi si hai kisi zulf-e-duta ke sath

    pala paDa hai hum ko KHuda kis bala ke sath

    enmeshed with braided tresses my heart appears to be

    tell me O Lord I am now faced with what calamity

    kab tak nibhaiye but-e-na-ashna ke sath

    kije wafa kahan talak us bewafa ke sath

    how long should I care for her who does not care for me

    how far should I be faithful when she lacks fidelity

    yaad-e-hawa-e-yar ne kya kya na gul khilae

    aai chaman se nikhat-e-gul jab saba ke sath

    what poignant passion was inflamed, then by her memories

    when the fragrance of the flower came floating on the breeze

    manga karenge ab se dua hijr-e-yar ki

    aaKHir to dushmani hai asar ko dua ke sath

    to be parted from my dearest I will pray now hence

    as after all prayers bear enmity with consequence

    hai kis ka intizar ki KHwab-e-adam se bhi

    har bar chaunk paDte hain aawaz-e-pa ke sath

    who is it pray, whom I await even in death's embrace

    that startles me each time I hear the sound of any pace

    ya rab visal-e-yar mein kyunkar ho zindagi

    nikli hi jaan jati hai har har ada ke sath

    O Lord! in meetings with my lover how do I survive

    her grace and charm and loveliness, don't let me stay alive

    allah re soz-e-atish-e-gham ba'd-e-marg bhi

    uThte hain meri KHak se sho'le hawa ke sath

    how strong does sorrow's fire burn, O Lord, despite my death

    new flames in my ashes ignite, with every zephyr's breath

    sau zindagi nisar karun aisi maut par

    yun roe zar zar tu ahl-e-aza ke sath

    A hundred lifetimes I'd forsake and such a death receive

    if you sit weeping copiously among the rest who grieve

    har dam araq araq nigah-e-be-hijab hai

    kis ne nigah-e-garm se dekha haya ke sath

    my eyes, uncovered, are now bathed all the time in sweat

    who has cast a glance so coy yet warm and passionate

    marne ke ba'd bhi wahi aawargi rahi

    afsos jaan gai nafas-e-na-rasa ke sath

    this wanderlust remained the same, even after death

    alas my life too went along with my ill-fated breath

    dast-e-junun ne mera gareban samajh liya

    uljha hai un se shoKH ke band-e-qaba ke sath

    the hand of my insanity thought it was my cape

    and got entangled by mistake, with sashes of her drape

    aate hi tere chal diye sab warna yas ka

    kaisa hujum tha dil-e-hasrat-faza ke sath

    as soon as you arrived the crowds of despair did depart

    else what a throng surrounded the yearnings of my heart

    main kine se bhi KHush hun ki sab ye to kahte hain

    us fitna-gar ko lag hai is mubtala ke sath

    I'm happy e'en with cruelty, as all do now agree

    the devastating beauty loves a distressed man like me

    allah ri gumrahi but o but-KHana chhoD kar

    'momin' chala hai ka'ba ko ek parsa ke sath

    O Lord!! momin's lost his way, from idols does he flee

    and towards the mosque proceeds, in pious company

    'momin' wahi ghazal paDho shab jis se bazm mein

    aati thi lab pe jaan zah-o-habbaza ke sath

    ----

    ----

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now