Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil bhar aaya phir bhi raaz-e-dil chhupana hi paDa

Anjum Manpuri

dil bhar aaya phir bhi raaz-e-dil chhupana hi paDa

Anjum Manpuri

MORE BYAnjum Manpuri

    dil bhar aayā phir bhī rāz-e-dil chhupānā paḌā

    sāmne us bad-gumāñ ke muskurānā paḌā

    vo jo rūThe maiñ ne bhī khā na milne qasam

    phir na dil maanā to ḳhud kar manānā paḌā

    uf majbūrī mizāj-e-yār meñ ho kar daḳhīl

    rāzdāñ ḳhud apne dushman ko banānā paḌā

    mujh ko fasl-e-gul meñ tevar dekh kar sayyād ke

    āshiyāna chhoḌ kar gulshan se jaanā paḌā

    zabt yaarā nahīñ sayyād bhī hai ḳhayāl

    nāla-e-dil-soz ko naġhma banānā paḌā

    rokte kab tak taqāzā-e-talāfī-e-sitam

    sar jhukā.e sharm se mayyat pe aanā paḌā

    aaj 'anjum' muskurā kar us ne phir dekhā mujhe

    shikva-e-jaur-o-jafā phir bhuul jaanā paḌā

    dil bhar aaya phir bhi raaz-e-dil chhupana hi paDa

    samne us bad-guman ke muskurana hi paDa

    wo jo ruThe main ne bhi kha li na milne ki qasam

    phir na dil mana to KHud ja kar manana hi paDa

    uf ri majburi mizaj-e-yar mein ho kar daKHil

    raazdan KHud apne dushman ko banana hi paDa

    mujh ko fasl-e-gul mein tewar dekh kar sayyaad ke

    aashiyana chhoD kar gulshan se jaana hi paDa

    zabt ka yara nahin sayyaad ka bhi hai KHayal

    nala-e-dil-soz ko naghma banana hi paDa

    rokte kab tak taqaza-e-talafi-e-sitam

    sar jhukae sharm se mayyat pe aana hi paDa

    aaj 'anjum' muskura kar us ne phir dekha mujhe

    shikwa-e-jaur-o-jafa phir bhul jaana hi paDa

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now