dil bhi aapko bhul chuka hai
dil bhī aap ko bhuul chukā hai
sāhab aap se parda kyā hai
kahne sunñe kī bāteñ haiñ
kaun kise apnā saktā hai
ishq meñ kyā sachchā kyā jhūTā
ye to umroñ kā ronā hai
haal hamārā pūchhne vaale
kyā batlā.eñ sab achchhā hai
kyā kyā baat na ban saktī thī
lekin ab kyā ho saktā hai
ab bhī dil ke darvāze par
ek diyā jaltā rahtā hai
kab tak saath nibhātā āḳhir
vo bhī duniyā meñ rahtā hai
duniyā par kyuuñ dosh dhareñ ham
apnā dil bhī kab apnā hai
dil bhi aap ko bhul chuka hai
sahab aap se parda kya hai
kahne sunne ki baaten hain
kaun kise apna sakta hai
ishq mein kya sachcha kya jhuTa
ye to umron ka rona hai
haal hamara puchhne wale
kya batlaen sab achchha hai
kya kya baat na ban sakti thi
lekin ab kya ho sakta hai
ab bhi dil ke darwaze par
ek diya jalta rahta hai
kab tak sath nibhata aaKHir
wo bhi duniya mein rahta hai
duniya par kyun dosh dharen hum
apna dil bhi kab apna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.