dil ke dagh mein sisa hai aur zaKHm-e-jigar mein tanba hai
dil ke dagh mein sisa hai aur zaKHm-e-jigar mein tanba hai
Ali Akbar Natiq
MORE BYAli Akbar Natiq
dil ke daaġh meñ siisa hai aur zaḳhm-e-jigar meñ tāñbā hai
itnā bhārī siina le kar shaḳhs āvāra phirtā hai
kāñch ke reze tez havā meñ bāvle uḌte phirte haiñ
nañge badan kī chāñdnī se phir taarā taarā girtā hai
aadhe peḌ pe sabz parinde aadhā peḌ āsebī hai
kaise khule ye rām-kahānī kaun sā hissa merā hai
kaale devtā muTThī bhar bhar suune gharoñ meñ pheñkte haiñ
kohr-zada bastī ke chauk meñ raakh kā ūñchā Tiila hai
sard shaboñ kā pochhne vaalo in rātoñ ke taare duur
dhuñdle chāñd kī nabzeñ gūñgī aag kā chehra niilā hai
pīploñ vaalī galiyāñ ujḌī Dher haiñ piile pattoñ ke
sāmne vaalī surḳh havelī meñ bhūtoñ kā Derā hai
dil ke dagh mein sisa hai aur zaKHm-e-jigar mein tanba hai
itna bhaari sina le kar shaKHs aawara phirta hai
kanch ke reze tez hawa mein bawle uDte phirte hain
nange badan ki chandni se phir tara tara girta hai
aadhe peD pe sabz parinde aadha peD aasebi hai
kaise khule ye ram-kahani kaun sa hissa mera hai
kale dewta muTThi bhar bhar sune gharon mein phenkte hain
kohr-zada basti ke chauk mein rakh ka uncha Tila hai
sard shabon ka pochhne walo in raaton ke tare dur
dhundle chand ki nabzen gungi aag ka chehra nila hai
piplon wali galiyan ujDi Dher hain pile patton ke
samne wali surKH haweli mein bhuton ka Dera hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.