dil ke virane ko yun aabaad kar lete hain hum
dil ke vīrāne ko yuuñ ābād kar lete haiñ ham
kar bhī kyā sakte haiñ tujh ko yaad kar lete haiñ ham
jab buzurgoñ kī duā.eñ ho ga.iiñ be-kār sab
qarz-e-ḳhvāb-āvar se dil ko shaad kar lete haiñ ham
talḳhi-e-kām-o-dahan kī ābyārī ke liye
dāvat-e-shīrāz-e-abr-o-bād kar lete haiñ ham
dekh kar dhabbe lahū ke dast-e-ādam-zād par
taarī apne zehn par ilhād kar lete haiñ ham
kaun suntā hai bhikārī kī sadā.eñ is liye
kuchh zarīfāna latīfe yaad kar lete haiñ ham
jab purānā lahja kho detā hai apnī tāzgī
ik na.ī tarz-e-navā ījād kar lete haiñ ham
dekh kar ahl-e-qalam ko kushta-e-āsūdgī
ḳhud ko 'vāmiq' farz ik naqqād kar lete haiñ ham
dil ke virane ko yun aabaad kar lete hain hum
kar bhi kya sakte hain tujh ko yaad kar lete hain hum
jab buzurgon ki duaen ho gain be-kar sab
qarz-e-KHwab-awar se dil ko shad kar lete hain hum
talKHi-e-kaam-o-dahan ki aabyari ke liye
dawat-e-shiraaz-e-abr-o-baad kar lete hain hum
dekh kar dhabbe lahu ke dast-e-adam-zad par
tari apne zehn par ilhad kar lete hain hum
kaun sunta hai bhikari ki sadaen is liye
kuchh zarifana latife yaad kar lete hain hum
jab purana lahja kho deta hai apni tazgi
ek nai tarz-e-nawa ijad kar lete hain hum
dekh kar ahl-e-qalam ko kushta-e-asudgi
KHud ko 'wamiq' farz ek naqqad kar lete hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.