dil ki basti mein barasta hai wo baadal kaun hai
dil kī bastī meñ barastā hai vo bādal kaun hai
kar rahā hai jo mirī āñkhoñ ko jal-thal kaun hai
chāñd sūraj kahkashāñ kī pūchhtā hai ḳhairiyat
sab ke ghar meñ jhāñkne vaalā ye pāgal kaun hai
kaun hai vo jis kī ḳhushbū se mahaktī hai hayāt
gholne vaalā mirī sāñsoñ meñ sandal kaun hai
dhuup bārish āñdhiyoñ meñ sā.ebāñ hotā hai kaun
phuul ko detā hai jo mamtā kā āñchal kaun hai
raat ke bistar bhigo jaatā hai shabnam kī tarah
dhone vaalā niiñd kī āñkhoñ se kājal kaun hai
shabnamī hai guftugū us kī to lahja hai gulāb
pankhuḌī sā narm itnā aur komal kaun hai
dil ke vīrāne meñ chupke se chalā aatā hai kaun
ġham kī bastī meñ machātā hai jo halchal kaun hai
rah ga.ī hai kuchh kamī to kyā shikāyat hai 'fahīm'
is jahāñ meñ sab adhūre haiñ mukammal kaun hai
dil ki basti mein barasta hai wo baadal kaun hai
kar raha hai jo meri aankhon ko jal-thal kaun hai
chand suraj kahkashan ki puchhta hai KHairiyat
sab ke ghar mein jhankne wala ye pagal kaun hai
kaun hai wo jis ki KHushbu se mahakti hai hayat
gholne wala meri sanson mein sandal kaun hai
dhup barish aandhiyon mein saeban hota hai kaun
phul ko deta hai jo mamta ka aanchal kaun hai
raat ke bistar bhigo jata hai shabnam ki tarah
dhone wala nind ki aankhon se kajal kaun hai
shabnami hai guftugu us ki to lahja hai gulab
pankhuDi sa narm itna aur komal kaun hai
dil ke virane mein chupke se chala aata hai kaun
gham ki basti mein machata hai jo halchal kaun hai
rah gai hai kuchh kami to kya shikayat hai 'fahim'
is jahan mein sab adhure hain mukammal kaun hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.