aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil ki ek harf-o-hikayat hai ye bhi na sahi

Shola Aligarhi

dil ki ek harf-o-hikayat hai ye bhi na sahi

Shola Aligarhi

MORE BYShola Aligarhi

    dil ik harf-o-hikāyāt hai ye bhī na sahī

    gar mirī baat meñ kuchh baat hai ye bhī na sahī

    iid ko bhī vo nahīñ milte haiñ mujh se na mileñ

    ik baras din mulāqāt hai ye bhī na sahī

    dil meñ jo kuchh hai tumhāre nahīñ pinhāñ mujh se

    zāhirī lutf o mudārāt hai ye bhī na sahī

    zindagī hijr meñ bhī yuuñ guzar jā.egī

    vasl ek gar raat hai ye bhī na sahī

    merī turbat pe lagāte nahīñ Thokar na lagāo

    ye bas un karāmāt hai ye bhī na sahī

    kaaT sakte haiñ galā ḳhud bhī na kiije hameñ qatl

    aap ke haath meñ ik baat hai ye bhī na sahī

    qatl-e-qāsid pe kamar bāñdhī hai 'shola' us ne

    ḳhat kitābat mulāqāt hai ye bhī na sahī

    dil ki ek harf-o-hikayat hai ye bhi na sahi

    gar meri baat mein kuchh baat hai ye bhi na sahi

    id ko bhi wo nahin milte hain mujh se na milen

    ek baras din ki mulaqat hai ye bhi na sahi

    dil mein jo kuchh hai tumhaare nahin pinhan mujh se

    zahiri lutf o mudaraat hai ye bhi na sahi

    zindagi hijr mein bhi yun hi guzar jaegi

    wasl ki ek hi gar raat hai ye bhi na sahi

    meri turbat pe lagate nahin Thokar na lagao

    ye hi bas un ki karamat hai ye bhi na sahi

    kaT sakte hain gala KHud bhi na kije hamein qatl

    aap ke hath mein ek baat hai ye bhi na sahi

    qatl-e-qasid pe kamar bandhi hai 'shola' us ne

    KHat kitabat ki mulaqat hai ye bhi na sahi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now