Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil ko ehsas ki shiddat ne kahin ka na rakha

Rais Amrohvi

dil ko ehsas ki shiddat ne kahin ka na rakha

Rais Amrohvi

dil ko ehsās shiddat ne kahīñ na rakhā

ḳhud mohabbat ko mohabbat ne kahīñ na rakhā

bū-e-gul ab tujhe ehsās huā bhī ki tujhe

terī āvāra tabī.at ne kahīñ na rakhā

tum ko har shaḳhs se hai chashm-e-muravvat umiid

tum ko is chashm-e-muravvat ne kahīñ na rakhā

ham vo haiñ jin ko tamāsha-kada-e-hastī meñ

jalva-e-ālam-e-hairat ne kahīñ na rakhā

nigah-e-shauq kisī shai pe Thahartī nahīñ

is basārat ko basīrat ne kahīñ na rakhā

pahle ye shukr ki ham hadd-e-adab se na baḌhe

ab ye shikva ki sharāfat ne kahīñ na rakhā

dil ko ehsas ki shiddat ne kahin ka na rakha

KHud mohabbat ko mohabbat ne kahin ka na rakha

bu-e-gul ab tujhe ehsas hua bhi ki tujhe

teri aawara tabiat ne kahin ka na rakha

tum ko har shaKHs se hai chashm-e-murawwat ki umid

tum ko is chashm-e-murawwat ne kahin ka na rakha

hum wo hain jin ko tamasha-kada-e-hasti mein

jalwa-e-alam-e-hairat ne kahin ka na rakha

nigah-e-shauq kisi shai pe Thaharti hi nahin

is basarat ko basirat ne kahin ka na rakha

pahle ye shukr ki hum hadd-e-adab se na baDhe

ab ye shikwa ki sharafat ne kahin ka na rakha

Source :
  • Book : غزل اس نے چھیڑی-6 (Pg. 127)
  • Author : فرحت احساس
  • Publication : ریختہ بکس ،بی۔37،سیکٹر۔1،نوئیڈا،اترپردیش۔201301 (2019)
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now