dil ko jab aagahi ki aag lage
dil ko jab āgahī kī aag lage
tab suḳhan soch ko suhāg lage
in bharī bastiyoñ ke log mudām
in harī ketiyoñ ko bhaag lage
muntashir ho to gur meñ gyaan kahāñ
sur mileñ sab to ek raag lage
hoñT gorī ke ras bhare injīr
laT kā lachhā laTak ke naag lage
kashT TuuTe to shā.irī chhūTe
aab Thahre to jam ke jhaag lage
haath kañgan ko aarsī kaisī
giit kī gat ko lai kī laag lage
nayyā bāñdho nadī kināre sakhī
chāñd bairāg raat tyaag lage
din birah ke kaTeñ to pī palTeñ
ban meñ sarsoñ jage to phaag lage
jog sanjog ke bināñ ḳhālī
duudh ko bhī dahī kā jaag lage
dil ko jab aagahi ki aag lage
tab suKHan soch ko suhag lage
in bhari bastiyon ke log mudam
in hari ketiyon ko bhag lage
muntashir ho to gur mein gyan kahan
sur milen sab to ek rag lage
honT gori ke ras bhare injir
laT ka lachha laTak ke nag lage
kashT TuTe to shairi chhuTe
aab Thahre to jam ke jhag lage
hath kangan ko aarsi kaisi
git ki gat ko lai ki lag lage
nayya bandho nadi kinare sakhi
chand bairag raat tyag lage
din birah ke kaTen to pi palTen
ban mein sarson jage to phag lage
jog sanjog ke binan KHali
dudh ko bhi dahi ka jag lage
- Book : siip (Magzin) (Pg. 253)
- Author : Nasiim Durraani
- Publication : Fikr-e-Nau (39 (Quarterly))
- Edition : 39 (Quarterly)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.