Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dil liya jaan li nahin jati

Bedam Shah Warsi

dil liya jaan li nahin jati

Bedam Shah Warsi

MORE BYBedam Shah Warsi

    dil liyā jaan nahīñ jaatī

    aap dil-lagī nahīñ jaatī

    sab ne ġhurbat meñ mujh ko chhoḌ diyā

    ik mirī bekasī nahīñ jaatī

    kiye kah duuñ ki ġhair se miliye

    an-kahī to kahī nahīñ jaatī

    ḳhud kahānī firāq chheḌī

    ḳhud kahā bas sunī nahīñ jaatī

    ḳhushk dikhlātī hai zabāñ talvār

    kyuuñ mirā ḳhuun nahīñ jaatī

    lākhoñ armān dene vāloñ se

    ek taskīn nahīñ jaatī

    jaan jaatī hai merī jaane do

    baat to aap nahīñ jaatī

    tum kahoge jo ro.uuñ furqat meñ

    ki musībat sahī nahīñ jaatī

    us ke hote ḳhudī se paak huuñ maiñ

    ḳhuub hai be-ḳhudī nahīñ jaatī

    thī 'bedam' azal meñ kaisī sharāb

    aaj tak be-ḳhudī nahīñ jaatī

    dil liya jaan li nahin jati

    aap ki dil-lagi nahin jati

    sab ne ghurbat mein mujh ko chhoD diya

    ek meri bekasi nahin jati

    kiye kah dun ki ghair se miliye

    an-kahi to kahi nahin jati

    KHud kahani firaq ki chheDi

    KHud kaha bas suni nahin jati

    KHushk dikhlati hai zaban talwar

    kyun mera KHun pi nahin jati

    lakhon arman dene walon se

    ek taskin di nahin jati

    jaan jati hai meri jaane do

    baat to aap ki nahin jati

    tum kahoge jo roun furqat mein

    ki musibat sahi nahin jati

    us ke hote KHudi se pak hun main

    KHub hai be-KHudi nahin jati

    pi thi 'bedam' azal mein kaisi sharab

    aaj tak be-KHudi nahin jati

    Source :
    • Book : jigar parah armagaan bedam shaah (Pg. 63)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now