dil mein kisi ko rakkho dil mein raho kisi ke
dil meñ kisī ko rakkho dil meñ raho kisī ke
sīkho abhī salīqe kuchh roz dilbarī ke
furqat meñ ashk-e-hasrat ham kyā bahā raheñ haiñ
taqdīr ro rahī hai parde meñ bekasī ke
aa.e agar qayāmat to dhajjiyāñ uḌā deñ
phirte haiñ justujū meñ fitne tirī galī ke
de kar mujhe tasallī bechain kar rahe ho
hañste ho va.ada kar ke qurbān is hañsī ke
ye hazrat-e-rasā bhī dīvāne ho ga.e haiñ
chakkar lagā rahe haiñ ik shoḳh kī galī ke
dil mein kisi ko rakkho dil mein raho kisi ke
sikho abhi saliqe kuchh roz dilbari ke
furqat mein ashk-e-hasrat hum kya baha rahen hain
taqdir ro rahi hai parde mein bekasi ke
aae agar qayamat to dhajjiyan uDa den
phirte hain justuju mein fitne teri gali ke
de kar mujhe tasalli bechain kar rahe ho
hanste ho wada kar ke qurban is hansi ke
ye hazrat-e-rasa bhi diwane ho gae hain
chakkar laga rahe hain ek shoKH ki gali ke
- Book : intekhaabe-e-sukhan(jild-duum) (Pg. 98)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.