dil mein kuchh dard siwa hai yaro
dil meñ kuchh dard sivā hai yaaro
aaj ronā bhī ravā hai yaaro
saañs letā huuñ to dam ghuTtā hai
kaisī be-dard havā hai yaaro
maiñ jo hañstā huuñ to ro dete haiñ
tum ko kyā aaj huā hai yaaro
kis ne ehsās kī daulat paa.ī
kaun dīvāna huā hai yaaro
itnī vīrān na thiiñ ye āñkheñ
zabt karne kā sila hai yaaro
apne dāman meñ koī phuul nahīñ
dil meñ kāñTā sā chubhā hai yaaro
ḳhud pukārā use ḳhud dauḌ paḌe
ḳhuub gumbad kī sadā hai yaaro
dil mein kuchh dard siwa hai yaro
aaj rona bhi rawa hai yaro
sans leta hun to dam ghuTta hai
kaisi be-dard hawa hai yaro
main jo hansta hun to ro dete hain
tum ko kya aaj hua hai yaro
kis ne ehsas ki daulat pai
kaun diwana hua hai yaro
itni viran na thin ye aankhen
zabt karne ka sila hai yaro
apne daman mein koi phul nahin
dil mein kanTa sa chubha hai yaro
KHud pukara use KHud dauD paDe
KHub gumbad ki sada hai yaro
- Book : Naqsh-e-karachi (Pg. 117)
- Author : Shahid Dehlvi,Shams Zubairi
- Publication : Adbi Digest (26 September 1960)
- Edition : 26 September 1960
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.