dil mein tere KHulus samoya na ja saka
dil meñ tire ḳhulūs samoyā na jā sakā
patthar meñ is gulāb ko boyā na jā sakā
baaqī haiñ is pe ab bhī purāne ġhamoñ ke aks
chehra to āñsuoñ se bhī dhoyā na jā sakā
phūloñ ke jism chhedne dāloñ se aaj tak
ḳhushbū ko barchhiyoñ meñ piroyā na jā sakā
kyā tarjumānī-e-ġham-e-duniyā kareñ ki jab
fan meñ ḳhud apnā ġham bhī samoyā na jā sakā
shab-ḳhūñ kī rasm aisī paḌī ahl-e-shahr meñ
logoñ se lamha bhar ko bhī soyā na jā sakā
āñkhoñ kī bastiyoñ meñ bhī kyā qaht-e-ashk thā
chāhā 'kamāl' ro.eñ to royā na jā sakā
dil mein tere KHulus samoya na ja saka
patthar mein is gulab ko boya na ja saka
baqi hain is pe ab bhi purane ghamon ke aks
chehra to aansuon se bhi dhoya na ja saka
phulon ke jism chhedne dalon se aaj tak
KHushbu ko barchhiyon mein piroya na ja saka
kya tarjumani-e-gham-e-duniya karen ki jab
fan mein KHud apna gham bhi samoya na ja saka
shab-KHun ki rasm aisi paDi ahl-e-shahr mein
logon se lamha bhar ko bhi soya na ja saka
aankhon ki bastiyon mein bhi kya qaht-e-ashk tha
chaha 'kamal' roen to roya na ja saka
- Book : khizaa.n mera mausam (Pg. 55)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.