dil mera dard ke siwa kya hai
dil mirā dard ke sivā kyā hai
ibtidā ye to intihā kyā hai
qadr achchhoñ kī hai mire dam se
maiñ jo achchhā nahīñ burā kyā hai
ġham se chhūTeñ to zindagī na rahe
har nafas aah ke sivā kyā hai
ai mohabbat tujhe ḳhabar hogī
dard uTh uTh ke DhūñDhtā kyā hai
haañ vahī huuñ jise ḳharāb kiyā
chashm-e-hairat se dekhtā kyā hai
ye mohabbat agar nahīñ to mujhe
kuchh batāo ye dard sā kyā hai
kaash samjheñ ye shikva-sanj habīb
naaz kyā chiiz hai adā kyā hai
ibtidā-e-baqā-e-nau kahiye
aur is ke sivā qazā kyā hai
un kī majbūriyāñ nahīñ dekhīñ
juz nigāh-e-ġhalat gila kyā hai
ek parda sā hai fareb-e-nazar
ye bhī uTThe to dekhnā kyā hai
'soz' chashm-e-vafā pe martā huuñ
varna jiine kā aasrā kyā hai
dil mera dard ke siwa kya hai
ibtida ye to intiha kya hai
qadr achchhon ki hai mere dam se
main jo achchha nahin bura kya hai
gham se chhuTen to zindagi na rahe
har nafas aah ke siwa kya hai
ai mohabbat tujhe KHabar hogi
dard uTh uTh ke DhunDhta kya hai
han wahi hun jise KHarab kiya
chashm-e-hairat se dekhta kya hai
ye mohabbat agar nahin to mujhe
kuchh batao ye dard sa kya hai
kash samjhen ye shikwa-sanj habib
naz kya chiz hai ada kya hai
ibtida-e-baqa-e-nau kahiye
aur is ke siwa qaza kya hai
un ki majburiyan nahin dekhin
juz nigah-e-ghalat gila kya hai
ek parda sa hai fareb-e-nazar
ye bhi uTThe to dekhna kya hai
'soz' chashm-e-wafa pe marta hun
warna jine ka aasra kya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.