dil pe aae hue ilzam se pahchante hain
dil pe aa.e hue ilzām se pahchānte haiñ
log ab mujh ko tire naam se pahchānte haiñ
ā.īna-dār-e-mohabbat huuñ ki arbāb-e-vafā
apne ġham ko mire anjām se pahchānte haiñ
baada o jaam bhī ik vaj.h-e-mulāqāt sahī
ham tujhe gardish-e-ayyām se pahchānte haiñ
pau phaTe kyuuñ mirī palkoñ pe sajāte ho inheñ
ye sitāre to mujhe shaam se pahchānte haiñ
dil pe aae hue ilzam se pahchante hain
log ab mujh ko tere nam se pahchante hain
aaina-dar-e-mohabbat hun ki arbab-e-wafa
apne gham ko mere anjam se pahchante hain
baada o jam bhi ek wajh-e-mulaqat sahi
hum tujhe gardish-e-ayyam se pahchante hain
pau phaTe kyun meri palkon pe sajate ho inhen
ye sitare to mujhe sham se pahchante hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.