dil tha ki gham-e-jaan tha
dil thā ki ġham-e-jāñ thā
maiñ ḳhud se pashemāñ thā
maiñ ne use chāhā to
vo mujh se gurezāñ thā
fitrat ke ishāre par
jo naqsh thā raqsāñ thā
hālāt ke hāthoñ meñ
kyuuñ merā garebāñ thā
kal mere tasarruf meñ
ik ālam-e-imkāñ thā
maiñ ḳhud se chhupā lekin
us shaḳhs pe uryāñ thā
kyuuñ shahr-e-nigārāñ meñ
āġhāz pareshāñ thā
dil tha ki gham-e-jaan tha
main KHud se pasheman tha
main ne use chaha to
wo mujh se gurezan tha
fitrat ke ishaare par
jo naqsh tha raqsan tha
haalat ke hathon mein
kyun mera gareban tha
kal mere tasarruf mein
ek aalam-e-imkan tha
main KHud se chhupa lekin
us shaKHs pe uryan tha
kyun shahr-e-nigaran mein
aaghaz pareshan tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.