dil to har chiz pe bachcha sa machal jata hai
dil to har chiz pe bachcha sa machal jata hai
Imran Shamshad Narmi
MORE BYImran Shamshad Narmi
dil to har chiiz pe bachcha sā machal jaatā hai
jeb jab DāñTne lagtī hai sañbhal jaatā hai
jab bhī maiñ sochtā huuñ raat nahīñ jaane kī
duur us ghar meñ koī bulb sā jal jaatā hai
raat ke vaqt ubhartā hai junūñ kā sūraj
din nikalte hī kisī chāñd meñ Dhal jaatā hai
ye jo sariyā hai tafāḳhur kā tirī gardan meñ
azhdahā ban ke ye qaumoñ ko nigal jaatā hai
ek hī baat banā detī hai har bigḌī baat
ek hī shaḳhs zamāne ko badal jaatā hai
tū to 'narmī' hai mirī jaan isī chakkar meñ
'mīr' sāhab kā palīthan bhī nikal jaatā hai
dil to har chiz pe bachcha sa machal jata hai
jeb jab DanTne lagti hai sanbhal jata hai
jab bhi main sochta hun raat nahin jaane ki
dur us ghar mein koi bulb sa jal jata hai
raat ke waqt ubharta hai junun ka suraj
din nikalte hi kisi chand mein Dhal jata hai
ye jo sariya hai tafaKHur ka teri gardan mein
azhdaha ban ke ye qaumon ko nigal jata hai
ek hi baat bana deti hai har bigDi baat
ek hi shaKHs zamane ko badal jata hai
tu to 'narmi' hai meri jaan isi chakkar mein
'mir' sahab ka palithan bhi nikal jata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.