dilon se KHauf ke aaseb-o-jin nikalta hai
diloñ se ḳhauf ke āseb-o-jin nikāltā hai
vahī charāġh jalātā hai din nikāltā hai
ajiib tesha hai mazdūr kā pasīna bhī
pahāḌ kaaT ke rāsta kaThin nikāltā hai
ye bādshāh nahīñ hai faqīr hai sūraj
hamesha raat kī jholī se din nikāltā hai
zarā sī der meñ koī gulāb toḌegā
jo apne coat ke collar se pin nikāltā hai
usī ke naam se mansūb hai ġhazal apnī
jo naam phuul khilātā hai din nikāltā hai
dilon se KHauf ke aaseb-o-jin nikalta hai
wahi charagh jalata hai din nikalta hai
ajib tesha hai mazdur ka pasina bhi
pahaD kaT ke rasta kaThin nikalta hai
ye baadshah nahin hai faqir hai suraj
hamesha raat ki jholi se din nikalta hai
zara si der mein koi gulab toDega
jo apne coat ke collar se pin nikalta hai
usi ke nam se mansub hai ghazal apni
jo nam phul khilata hai din nikalta hai
- Book : Khamoshiyaon Ka Nagma (Pg. 41)
- Author : Dr. Anjum Barabankvi
- Publication : Educational Publishing House (2015 )
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.