din ka libas-e-dard tha wo to pahan chuke
din kā libās-e-dard thā vo to pahan chuke
raat aa.ī jaane kaun sā ġham oḌhnā paḌe
ab jald aa milo ki daraḳhtoñ ke saath saath
kitne janam guzār chukā huuñ khaḌe khaḌe
aksar isī ḳhayāl ne māyūs kar diyā
shāyad tamām umr yuuñ hī kāTnī paḌe
puure hue haiñ phuul se ik jism ke huzūr
armāñ kuchh aise bhī jo laboñ tak na aa sake
lamhoñ ke taar khīñchtā rahtā thā raat din
ik shaḳhs le gayā mirī sadiyāñ sameT ke
jiine kā shauq le aḌe tāroñ se duur duur
mazbūt haath maut kā dariyā meñ pheñk de
ham ko azāb-e-dahr se miltī nahīñ najāt
tum bhī bahisht-e-jism ko vīrāna kar chale
din ka libas-e-dard tha wo to pahan chuke
raat aai jaane kaun sa gham oDhna paDe
ab jald aa milo ki daraKHton ke sath sath
kitne janam guzar chuka hun khaDe khaDe
aksar isi KHayal ne mayus kar diya
shayad tamam umr yun hi kaTni paDe
pure hue hain phul se ek jism ke huzur
arman kuchh aise bhi jo labon tak na aa sake
lamhon ke tar khinchta rahta tha raat din
ek shaKHs le gaya meri sadiyan sameT ke
jine ka shauq le aDe taron se dur dur
mazbut hath maut ka dariya mein phenk de
hum ko azab-e-dahr se milti nahin najat
tum bhi bahisht-e-jism ko virana kar chale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.