din kaT rahe hain kashmakash-e-rozgar mein
din kaT rahe haiñ kashmakash-e-rozgār meñ
dam ghuT rahā hai sāya-e-abr-e-bahār meñ
aatī hai apne jism ke jalne kī bū mujhe
luTte haiñ nik.hatoñ ke subū jab bahār meñ
guzrā udhar se jab koī jhoñkā to chauñk kar
dil ne kahā ye aa ga.e ham kis dayār meñ
maiñ ek pal ke ranj-e-farāvāñ meñ kho gayā
murjhā ga.e zamāne mire intizār meñ
hai kunj-e-āfiyat tujhe pā kar pata chalā
kyā hamhame the gard-e-sar-e-rah-guzār meñ
din kaT rahe hain kashmakash-e-rozgar mein
dam ghuT raha hai saya-e-abr-e-bahaar mein
aati hai apne jism ke jalne ki bu mujhe
luTte hain nikhaton ke subu jab bahaar mein
guzra udhar se jab koi jhonka to chaunk kar
dil ne kaha ye aa gae hum kis dayar mein
main ek pal ke ranj-e-farawan mein kho gaya
murjha gae zamane mere intizar mein
hai kunj-e-afiyat tujhe pa kar pata chala
kya hamhame the gard-e-sar-e-rah-guzar mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.