do-chaar bar hum jo kabhi hans-hansa liye
do-chār baar ham jo kabhī hañs-hañsā liye
saare jahāñ ne haath meñ patthar uThā liye
rahte hamāre paas to ye TūTte zarūr
achchhā kiyā jo apne sapne churā liye
chāhā thā ek phuul ne taḌpeñ usī ke paas
ham ne ḳhushī se peḌoñ meñ kāñTe bichhā liye
āñkhoñ meñ aa.e ashk ne āñkhoñ se ye kahā
ab roko yā girāo hameñ ham to aa liye
sukh jaise bādaloñ meñ nahātī huuñ bijliyāñ
dukh jaise bijliyoñ meñ ye bādal nahā liye
jab ho sakī na baat to ham ne yahī kiyā
apnī ġhazal ke sher kahīñ gungunā liye
ab bhī kisī darāz meñ mil jā.eñge tumheñ
vo ḳhat jo tum ko de na sake likh-likhā liye
do-chaar bar hum jo kabhi hans-hansa liye
sare jahan ne hath mein patthar uTha liye
rahte hamare pas to ye TuTte zarur
achchha kiya jo apne sapne chura liye
chaha tha ek phul ne taDpen usi ke pas
hum ne KHushi se peDon mein kanTe bichha liye
aankhon mein aae ashk ne aankhon se ye kaha
ab roko ya girao hamein hum to aa liye
sukh jaise baadalon mein nahati hun bijliyan
dukh jaise bijliyon mein ye baadal naha liye
jab ho saki na baat to hum ne yahi kiya
apni ghazal ke sher kahin gunguna liye
ab bhi kisi daraaz mein mil jaenge tumhein
wo KHat jo tum ko de na sake likh-likha liye
- Book : Aandhiyo Dheere Chalo (Pg. 17)
- Author : Kunwar Bechain
- Publication : Vani Prakashan (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.