do umron ki rui dhun kar aaya hun
do umroñ kī ruī dhun kar aayā huuñ
maiñ pardes se ḳhud ko bun kar aayā huuñ
dariyā se yaarī bhī kitnī mushkil hai
maiñ kashtī ke TukḌe chun kar aayā huuñ
tum ko kitnā shauq hai phone pe bātoñ kā
aaj bhī boss kī bāteñ sun kar aayā huuñ
jaane kaun churā letā thā merā vaqt
wall-clock pe jaalā ban kar aayā huuñ
aaj kī shaam guzāreñge ham chhatrī meñ
bārish hogī ḳhabreñ sun kar aayā huuñ
dost ko samjhāne kī ḳhātir aayā thā
anjāne meñ ḳhud ko Tun kar aayā huuñ
do umron ki rui dhun kar aaya hun
main pardes se KHud ko bun kar aaya hun
dariya se yari bhi kitni mushkil hai
main kashti ke TukDe chun kar aaya hun
tum ko kitna shauq hai phone pe baaton ka
aaj bhi boss ki baaten sun kar aaya hun
jaane kaun chura leta tha mera waqt
wall-clock pe jala ban kar aaya hun
aaj ki sham guzarenge hum chhatri mein
barish hogi KHabren sun kar aaya hun
dost ko samjhane ki KHatir aaya tha
anjaane mein KHud ko Tun kar aaya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.