Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

dui ka tazkira tauhid mein paya nahin jata

Makhmoor Dehlvi

dui ka tazkira tauhid mein paya nahin jata

Makhmoor Dehlvi

MORE BYMakhmoor Dehlvi

    duī tazkira tauhīd meñ paayā nahīñ jaatā

    jahāñ merī rasā.ī hai mirā saayā nahīñ jaatā

    mire TuuTe hue pā-e-talab mujh pe ehsāñ hai

    tumhāre dar se uTh kar ab kahīñ jaayā nahīñ jaatā

    mohabbat ho to jaatī hai mohabbat nahīñ jaatī

    ye sho.ala ḳhud bhaḌak uThtā hai bhaḌkāyā nahīñ jaatā

    faqīrī meñ bhī mujh ko māñgne se sharm aatī hai

    savālī ho ke mujh se haath phailāyā nahīñ jaatā

    chaman tum se ibārat hai bahāreñ tum se zinda haiñ

    tumhāre sāmne phūloñ se murjhāyā nahīñ jaatā

    mohabbat ke liye kuchh ḳhaas dil maḳhsūs hote haiñ

    ye vo naġhma hai jo har saaz par gaayā nahīñ jaatā

    mohabbat asl meñ 'maḳhmūr' vo rāz-e-haqīqat hai

    samajh meñ aa gayā hai phir bhī samjhāyā nahīñ jaatā

    dui ka tazkira tauhid mein paya nahin jata

    jahan meri rasai hai mera saya nahin jata

    mere TuTe hue pa-e-talab ka mujh pe ehsan hai

    tumhaare dar se uTh kar ab kahin jaya nahin jata

    mohabbat ho to jati hai mohabbat ki nahin jati

    ye shoala KHud bhaDak uThta hai bhaDkaya nahin jata

    faqiri mein bhi mujh ko mangne se sharm aati hai

    sawali ho ke mujh se hath phailaya nahin jata

    chaman tum se ibarat hai bahaaren tum se zinda hain

    tumhaare samne phulon se murjhaya nahin jata

    mohabbat ke liye kuchh KHas dil maKHsus hote hain

    ye wo naghma hai jo har saz par gaya nahin jata

    mohabbat asl mein 'maKHmur' wo raaz-e-haqiqat hai

    samajh mein aa gaya hai phir bhi samjhaya nahin jata

    RECITATIONS

    Fahad Husain

    Fahad Husain,

    Fahad Husain

    dui ka tazkira tauhid mein paya nahin jata Fahad Husain

    Source :
    • Book : Aazadi ke baad dehli men urdu gazal (Pg. 327)
    • Author : Professor Unwan Chishti
    • Publication : Asila Offset Printers, Kalan Mahal, Dariyaganj, New Delhi-6 (1989)
    • Edition : 1989

    Tagged Under

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now