ehsas-e-ziyan chain se sone nahin deta
ehsās-e-ziyāñ chain se sone nahīñ detā
ronā bhī agar chāhūñ to rone nahīñ detā
sāhil kī nigāhoñ meñ koī dard hai aisā
maujoñ ko mirī naav Dubone nahīñ detā
kyā jāniye kis baat pe dushman huā mausam
sarsabz kisī shāḳh ko hone nahīñ detā
larzāñ hai kisī ḳhauf se jo shaam kā chehra
āñkhoñ meñ koī ḳhvāb pirone nahīñ detā
ik zahr sulagtā hai rag-e-jāñ meñ jo 'fikrī'
ik pal bhī tirī yaad meñ khone nahīñ detā
ehsas-e-ziyan chain se sone nahin deta
rona bhi agar chahun to rone nahin deta
sahil ki nigahon mein koi dard hai aisa
maujon ko meri naw Dubone nahin deta
kya jaaniye kis baat pe dushman hua mausam
sarsabz kisi shaKH ko hone nahin deta
larzan hai kisi KHauf se jo sham ka chehra
aankhon mein koi KHwab pirone nahin deta
ek zahr sulagta hai rag-e-jaan mein jo 'fikri'
ek pal bhi teri yaad mein khone nahin deta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.