ehsas-e-ziyan hum mein se aksar mein nahin tha
ehsās-e-ziyāñ ham meñ se aksar meñ nahīñ thā
is dukh kā mudāvā kisī patthar meñ nahīñ thā
vo shaḳhs to shab-ḳhūn meñ maarā gayā varna
us jaisā bahādur koī lashkar meñ nahīñ thā
ab ḳhaak huā huuñ to ye ahvāl khulā hai
sho'le ke sivā kuchh mire paikar meñ nahīñ thā
ye vāqi'a merā thā ki thā sāneha merā
maiñ apne hī ghar meñ thā magar ghar meñ nahīñ thā
har 'ishq ke manzar meñ thā ik hijr kā manzar
ik vasl kā manzar kisī manzar meñ nahīñ thā
ehsas-e-ziyan hum mein se aksar mein nahin tha
is dukh ka mudawa kisi patthar mein nahin tha
wo shaKHs to shab-KHun mein mara gaya warna
us jaisa bahadur koi lashkar mein nahin tha
ab KHak hua hun to ye ahwal khula hai
sho'le ke siwa kuchh mere paikar mein nahin tha
ye waqi'a mera tha ki tha saneha mera
main apne hi ghar mein tha magar ghar mein nahin tha
har 'ishq ke manzar mein tha ek hijr ka manzar
ek wasl ka manzar kisi manzar mein nahin tha
- Book : Urdu Quarterly BADBAAN (Pg. 205)
- Author : Nasir Bagdadi
- Publication : E-2, 8/14, Mayar Square, Block No.14 Gulshane-e-Iqbal (Oct. - Dec. 2002,Issue No 8)
- Edition : Oct. - Dec. 2002,Issue No 8
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.