Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek ek ghaDi uski qayamat ki ghaDi hai

Saqib Lakhnavi

ek ek ghaDi uski qayamat ki ghaDi hai

Saqib Lakhnavi

MORE BYSaqib Lakhnavi

    ek ek ghaḌī us qayāmat ghaḌī hai

    jo hijr meñ taḌpā.e vahī raat baḌī hai

    ye zo.af aalam hai ki taqdīr likhā

    bistar pe huuñ maiñ koī tasvīr paḌī hai

    betābī-e-dil hai vo dilchasp tamāshā

    jab dekho shab-e-hijr mire dar pe khaḌī hai

    dekhā to zamāna gila-e-hijr se kam thā

    samjhā thā ki furqat se shab-e-vasl baḌī hai

    rone se hayā sham.a zāhir ho to kyuuñ kar

    uryāñ hai magar beach meñ mahfil ke khaḌī hai

    ab tak mujhe kuchh aur dikhā.ī nahīñ detā

    kyā jāniye kis aañkh se ye aañkh laḌī hai

    mar jā.ūñ jo maiñ vādī-e-ulfat meñ ajab kyā

    maqsad hai mirā saḳht to manzil bhī kaḌī hai

    kab aaoge vaqt aa gayā duniyā se safar

    vaqfa hai koī dam na saa.at na ghaḌī hai

    kad hai vo mujhe kuuch meñ aane nahīñ dete

    apnā hai ḳhayāl un ko mujhe dil paḌī hai

    himmat ko nazar nahīñ saktī kisī sūrat

    dil koī baḌā hai jo koī aañkh baḌī hai

    ai hashr numā.inda-e-raftār Thahar

    us zulf ke sadqe jo tirī paañv paḌī hai

    taḌpā diyā dil gūñdh ke gesū shab-e-vaslat

    maiñ jāntā thā piiTh pe phūloñ chhaḌī hai

    bālā-e-jabīñ ḳhuun jab aayā to araq kyā

    ai jalva-gah-e-husn tirī dhuup kaḌī hai

    aadhī se ziyāda shab-e-ġham kaaT chukā huuñ

    ab bhī agar aa jaao to ye raat baḌī hai

    ārā.ish-e-gesū ko hasīñ maañg rahe haiñ

    'sāqib' ġhazal kyā koī motī laḌī hai

    ek ek ghaDi us ki qayamat ki ghaDi hai

    jo hijr mein taDpae wahi raat baDi hai

    ye zoaf ka aalam hai ki taqdir ka likha

    bistar pe hun main ya koi taswir paDi hai

    betabi-e-dil ka hai wo dilchasp tamasha

    jab dekho shab-e-hijr mere dar pe khaDi hai

    dekha to zamana gila-e-hijr se kam tha

    samjha tha ki furqat se shab-e-wasl baDi hai

    rone se haya shama ki zahir ho to kyun kar

    uryan hai magar beach mein mahfil ke khaDi hai

    ab tak mujhe kuchh aur dikhai nahin deta

    kya jaaniye kis aankh se ye aankh laDi hai

    mar jaun jo main wadi-e-ulfat mein ajab kya

    maqsad hai mera saKHt to manzil bhi kaDi hai

    kab aaoge waqt aa gaya duniya se safar ka

    waqfa hai koi dam ka na saat na ghaDi hai

    kad hai wo mujhe kuch mein aane nahin dete

    apna hai KHayal un ko mujhe dil ki paDi hai

    himmat ko nazar pa nahin sakti kisi surat

    dil koi baDa hai jo koi aankh baDi hai

    ai hashr numainda-e-raftar Thahar ja

    us zulf ke sadqe jo teri panw paDi hai

    taDpa diya dil gundh ke gesu shab-e-waslat

    main jaanta tha piTh pe phulon ki chhaDi hai

    baala-e-jabin KHun jab aaya to araq kya

    ai jalwa-gah-e-husn teri dhup kaDi hai

    aadhi se ziyaada shab-e-gham kaT chuka hun

    ab bhi agar aa jao to ye raat baDi hai

    aaraish-e-gesu ko hasin mang rahe hain

    'saqib' ki ghazal kya koi moti ki laDi hai

    Source :
    • Book : Deewan-e-Saqib (Pg. 290)
    • Author : Mirza Zakir Husain Qazlibaas Saqib Lucknowvi
    • Publication : Urdu Acadami U.P. (1998)
    • Edition : 1998
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now