ek jugnu hai meri muTThi mein
ek jugnū hai merī muTThī meñ
shor barpā hai saarī bastī meñ
jal ga.e phir se kuchh hasīñ rishte
tanziya guftugū kī bhaTTī meñ
dil kī tārīkiyāñ huiiñ raushan
koī zinda hai merī hastī meñ
jo gunāhoñ meñ ġharq rahte the
aaj gum haiñ ḳhudā-parastī meñ
dhīme dhīme patā chalā 'jāved'
an-ginat ḳhūbiyāñ haiñ dillī meñ
ek jugnu hai meri muTThi mein
shor barpa hai sari basti mein
jal gae phir se kuchh hasin rishte
tanziya guftugu ki bhaTTi mein
dil ki tarikiyan huin raushan
koi zinda hai meri hasti mein
jo gunahon mein gharq rahte the
aaj gum hain KHuda-parasti mein
dhime dhime pata chala 'jawed'
an-ginat KHubiyan hain dilli mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.