Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek mauhum si KHushi ki tarah

Meer Naqi Ali Khan Saqib

ek mauhum si KHushi ki tarah

Meer Naqi Ali Khan Saqib

MORE BYMeer Naqi Ali Khan Saqib

    ek mauhūm ḳhushī tarah

    tum mile bhī to ajnabī tarah

    tīrgī ke udaas jañgal meñ

    ham bhaTakte haiñ raushnī tarah

    ġham-e-daurāñ sañvār duuñ tujh ko

    apne gītoñ dilkashī tarah

    yād-e-jānāñ utar ke aa.ī hai

    shab ke ziine se chāñdnī tarah

    mehrbāñ ho ke saath chaltī hai

    zindagī dard-e-zindagī tarah

    aarzū hasīñ saverā bhī

    aaj nārāz hai kisī tarah

    zindagī ḳhayāl bhī 'sāqib'

    ruuTh jaa.e na zindagī tarah

    ek mauhum si KHushi ki tarah

    tum mile bhi to ajnabi ki tarah

    tirgi ke udas jangal mein

    hum bhaTakte hain raushni ki tarah

    gham-e-dauran sanwar dun tujh ko

    apne giton ki dilkashi ki tarah

    yaad-e-jaanan utar ke aai hai

    shab ke zine se chandni ki tarah

    mehrban ho ke sath chalti hai

    zindagi dard-e-zindagi ki tarah

    aarzu ka hasin sawera bhi

    aaj naraaz hai kisi ki tarah

    zindagi ka KHayal bhi 'saqib'

    ruTh jae na zindagi ki tarah

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now